SUNNIJAMAAT.NET ← Home

QAZA NAMAZ CALCULATOR

QAZA-E-UMRI KA HISAAB

Baligh hone ke baad se jab tak namaz regular shuru nahi ki, us dauran ki qaza ka andaza lagayein. Isme Witr bhi shaamil hai.

QAZA NAMAZ KI PDF GUIDE
Qaza namaz ke masail aur hisaab ka tareeqa padhiye (PDF, 2.6 MB).

APNI MAALOOMAT

Aap

Baligh hone ki alamat (jaise ehtilaam ya mahwari) jis umar mein aayi wahi chuniye. Yaad na ho to 15 rakhein.

Hanafi masla: baligh hone ki kam se kam umar ladke ke liye 12 saal aur ladki ke liye 9 saal hai. Agar baligh hone ki koi alamat (ehtilaam ya mahwari) zaahir na hui ho, to 15 saal ki umar poori hone par ladka-ladki dono baligh maane jaate hain.

0% = is dauran bilkul nahi padhi. Jis qadar yaad ho utna likhein, warna 0 rehne dein (ehtiyat isi mein hai).

Sirf aurat ke liye (haiz aur nifas ke din)

Haiz aur nifas ke dino ki namaz maaf hai, uski qaza nahi hoti. Neeche ki values sirf misal hain, apni aadat ke mutabiq badal dein.

3 se 10 din

Zyada se zyada 40 din

Zaroori baatein